|
Allah Hafiz
Khalish (pain) hai seene mein, ulfat (love) bhi Iss tishnagi ko ab allah hafiz
Andhera hai iss kamre me, dil me bhi Iss khayal-e-zulf ko ab allah hafiz
Ibadat hai uske zikr me, na-manzoori bhi Iss chuban ko ab allah hafiz
Khata hai uski hasi me, khoobsurti bhi Iss laalach ko ab allah hafiz
Lihaaz hai uske surat ka, seerat ka bhi Iss inayat (favor) ko ab allah hafiz
Chehra e qaatil hai, bala bhi Iss yalgaar (attack) ko ab allah haafiz
Khabar hai unki, khairiyat bhi Iss taabiz ko ab allah hafiz
Khwahishe hai mushkil, rangeen bhi Iss kashmakash ko ab allah hafiz
Meethe hai shadb unke, khoobsurat bhi Iss shikwa (complaint) ko ab allah hafiz
Jaanisaar (ready to sacrifice life) hai kambakht, paagal bhi Iss ishq-e-junoon ko ab allah hafiz
Kamzor hai yeh ishq, be-pardah bhi Iss jannat ko ab allah hafiz
|
|